Ramayan Prabhu Ram ki ek aisi adbhut gatha hai jise hum sab bachpan se sunte aa rahe hai, jab jab Prabhu Ram ka zikr humare aas paas hota hai man prasannta se bhar jata hai. Bhartiya Itihas ke is mahan granth ko humare purvajo ne bade sahej kar rakha hua hai, Jahan ek taraf Prabhu Ram ek manushya ke taur par shreshth Jeevan jeene ka udahran hai, vahi dusri taraf burai par achchai ki jeet ka ek vishwas hai. prastut sankshipt Ramayan ka moolasrot Vaalmeekikrt ‘Ramaayan’ aur Tulaseedaasakrat ‘Raamacharitamaanas’ granth hee hai, lekin jahaan raamachatimaanas mein saat kaand hain, ‘sankshipt raamaayan’ mein aath kaand samaahit hai. katha mein ramayan ka aadhar bana rahe, isake liye shuru se akhir tak katha ke mukhya prasangon ke shlokon ka beech-beech mein zikr kiya gaya hai.









