Riyasat ka Samrat banne ke baad Vikram jab apni mangetar Tejasvini se milne bhes badalkar apne gaon aata hai, to wo hairan ho jata hai ki wo use chhodkar ek Subedar ke bete se shaadi karne wali hoti hai. Yahi nahi Tejasvini ye maanne se inkaar kar deti hai ki Vikram raja ban chuka hai aur use bhikhari samajhti hai. Vikram ko ye bhi pata chalta hai ki uske peeth pichhe usi ke rajya mein usi ke khilaf kitne saazishen ho rahi hain. Kaise karega wo akele apne dushmano ka saamna? Kya wo tod payega Tejasvini ka ghamand? Kaise dikhayega wo sabko kaun hai asli Samrat?
