Aksha ek masoom aur imaandaar gaon ki ladki thi. Uski zindagi ka sabse bada maksad apni asli maa aur parivaar ko dhundhna tha. Use paalne wali maa Rajeshwari aur uski beti Isha ke saath woh shehar mein rehti thi, lekin Isha ki niyat hamesha se kharab thi. Paise aur shohrat ki lalach mein Isha tab Aksha ke raaste ki sabse badi rukawat ban gayi, jab Aksha ka mangetar Vishal use dhundhta hua Rajeshwari ke ghar aaya. Isha ne apni maa ko dhamkaya aur Aksha ki pehchaan chheen li aur khud ko Vishal ki bachpan ki dost bata kar uske saamne aa khadi hui. Lekin Vishal aur Aksha ki asli maa ko Isha ka bartav hamesha se khatakta tha. Isha ne Aksha ko badnaam karne, fasaane aur Vishal se door rakhne ki har koshish ki, par kismat Aksha aur Vishal ko ek dusre ke kareeb le aayi. Aksha ko is baat ka pata hi nahi tha ki use apna sach aur haq wapas paane ke liye kitne saazishon se guzarana padega. Kya woh apne bachpan ke pyaar Vishal ko wapas paa sakegi, ya phir Isha ke jaal mein phans kar hamesha ke liye gaon ki ek aam si ladki ban kar reh jayegi?



