Krishaa apni zindagi mein ek ajeeb sapne se pareshaan thi. Vo sapna itna bhahyanak tha ki usse jaagne ke bad krishaa apni zindagi ki hakeekat par hi sawaal uthaane lagti thi. Lekin aakhirkaar ek din uska saamna apne is darr se ho gya, jab Krishaa ko uski behen ke sath ek aisa shaks nazar aaya, jisse Krishaa ne sacche dil se pyaar kiya tha. Ye shaks koi aur nahin balki Siddharth tha. Un donon ko saath dekhkar Krishaa ke dil mein baaki umeeden aur uska vajood chaknaachur ho gya, par shayad ye Krishaa ki zindagi mein dhoko ki shuruaat thi, isse bhi bada ek sach Krishaa ka intzaar kar raha tha. Aakhir kya tha vo sach? Kya Krishaa ko sach mein diya Siddharth ne dhokaa? Kya ye thi Krishaa ke lie kisi nayi saajish ki shuruaat? Kya hai Krishaa se judaa vo sach, jisse badal jaayegi uski pehchaan?

