Utopia ek aisi mysterious duniya hai, jiske raaz insaan ki zindagi badal sakte hain. Hardik is duniya ki taqat ke liye itna pagal ho chuka hai ki ab woh apni pregnant wife Vrinda ko bhi yahan lana chahta hai. Lekin Anant jaanta hai ki Utopia sirf ek duniya nahi, balki ek aisa jaal hai, jahan se lautna aasaan nahi. Vrinda aur uske hone wale bachche ko bachane ke liye Anant Utopia mein kadam rakhta hai. Par kya woh Vrinda ko bacha payega, ya Utopia use bhi apne andhere mein sama lega?















