7 August 2021 ye tareekh koi kaise bhul sakta hai. Wo ek aisa behtreen din tha jisne iss Desh ka naam itihaas ke panno pe humesha ke liye sunehre aksharon me darj kar diya. Tokyo Olympic mein Bharat ka pehle Gold Medal. Aur inn sab ke piche Bharat ka ek aisa naujawan jisne 23 saal ki umar mein hee apna parcham Puri duniya par lehra diya diya tha. Neeraj Chopra ek aisa naam jo aaj har kisi ke zubaan par hai. Par kya hai iss Athlete ki kahani, kitne Records hain iss Khiladi ke naam aur aakhir kin kin mushkilo ka saamna karna pada tha iss Khiladi ko jaanenge humare iss Original Audio show "Golden Athlete: Neeraj Chopra" mein.















