Meera ne Arjun ko sirf chhoda nahi, balki sabke saamne beizzat karke uske jazbaat bhi kuchal diye. Us din Arjun ne zindagi se haar maan li, aur apna sab kuch chhod dene ka faisla kar liya. Lekin us andhere pal mein ek roshni bankar aayi Jaipur ki Rajkumari Naina. Usne sirf Arjun ki jaan hi nahi bachayi, balki usse ek nayi zindagi bhi di. Naina Arjun ko Jaipur le gayi, jahan usne royal chef competition jeeta aur saath hi Naina ka dil bhi. Dono ek doosre ke pyaar mein doob chuke the, zindagi ke naye sapne dekhne lage the. Lekin tabhi Naina ka mangetar london se wapas aaya. kya hoga ab Naina aur Arjun ki Fairytale kahani me? Kya Naina parampara ke aage jhukegi? Ya Arjun ka saccha pyaar jeetega? Kya ek chef ban sakta hai ek rajkumari ka humsafar?






