6 saal pehle patang udate huye hui Vishnu ki maut ke baad uska ghost Atharva aur uske doston ki jaan ka dushman ban gya. Unki jaan bachane ke liye unke parents ne unhe dusre shahar bhej diya lekin 6 saal beet jaane ke baad sab wapas laut aaye, lekin unke sath hi wapas laut aaya Vishnu ka ghost. Kya is baar Vishnu un sabki jaan le paayega? Kaise bachayega Atharv khud aur apne doston ko Vishnu ke ghost se? janne ke liye sune maut ke dhaage se bandhi udati patang ki ye khaufnak kahani.




