Show ki kahani Atharva Dixit ke ird-gird ghoomti hai, jo khud ko Mahabharat ke 'Karn' ka punarjanm maanta hai. Uske kandhe par Arjun ke baan ka nishaan hai aur use har roz Mahabharat ke yuddh ka sapna aata hai. Shri Krishna ne use Kalyug mein ek khaas maqsad ke liye bheja hai, jahan use Arjun se apna badla bhi lena hai. Par kya hai Shri Krishna ka voh maqsad? Janne ke liye suniye yeh romanchak audio show!















