1800 mein Konkan rajya ke jangalon mein base kabilon par hamla hota hai aur us kabilon ki saari ladkiyon ko rajmahal ke sainik utha le jaate hain. Unhein wapas laane ke liye Bheema Konkan rajya jaata hai, jahan use pata chalta hai ki yeh saazish rajya ke Maharaj ki nahi balki unke neeche baithe logon ki hai. Vo samriddh rajya andar se khokhla hota ja raha tha. Aakhir kaise Bheema un ladkiyon ko bachayega aur is rajneeti ka pardafash karega?
