Pichhli sadi ke sabse bade philanthropist maane jaane wale Jamshedji Tata ne hamare desh ko wo sab diya jo aaj tak koi businessman nahi de paya. Chahe wo India ki top university ho ya sapne jaisa ek shehar - Tatanagar. Par ghulami, gareebi aur illiteracy se joojhte desh mein ek better India ka sapna dekhne wale Jamshedji ye sab kaise kar paaye? Aur kaise unhone Tata jaisi itni badi company banaai? Aaiye jaante hain is show mein.









