Metro cities mein ghar kharidna koi aasaan baat nahi hai. Humare mann mein kayi saare sawaal aate hi hai jaise, kya ghar jahan le rahe vo area thik hai? Kahin kaagazon mein koi gadbadi to nahi hai? Jo property hum le rahe hain us par koi dispute to nahi chal raha? Toh ab ghar kharidne ke samay mann mein aane wale aise sabhi sawaalon par full stop lagayiye. Kyunki yeh original series apke inn sabhi sawaalon ka jawab hai, jise sun kar aap ghar kharidne ki planning se le kar legally kaise proceed karna hai yeh jaan payenge.










