Vikram ke ateet se ubhra ek shatir dushman, jisne badle ki aag mein uski zindagi ko lapet liya. Rahasya bhari mauto ko suljhate huye, Detective Vikram ko mila ek aisa suraag jo uske bachpan ke ghavon ko phir se taaza kar gaya. Kaun hai ye Kevat? Aur kya chahta hai wo Vikram se? Kya Vikram is maut ke khel ko samajh kar apni zindagi aur apne ateet ko bacha payega? Janne ke liye, suniye ye romanchak show.




