Ruhani ki maang Mudit ne khoon se bhar di, wo bhi bina uske marzi ke. Ruhani ne socha bhi nahi tha ki jise wo apna saccha pyaar samjhti thi vahi Mudit uske liye ek daravana sapna ban jayega. Pehle Mudit ne uske sath zabardasti shaadi ki phir uske sharir par apna haq jataaya… bina uske izazat ke. Ruhani ke liye woh raat sirf ek raat nahi thi – woh ek daravni yaad ban gayi, jisme dard aur beizzati thi. Aur ab… woh maa banne wali hai. Kaise batayegi Ruhani apne parivaar ko apna ye sach?


