Mughalon ke khilaf jisne bachpan se yuddh kiya tha, wo the Maharaj Chhatrasal Bundela. Bundelkhand ki azadi ke liye na sirf unhone balki unke mata-pita ne bhi apni jaan ki kayi baziyan lagayi hain. Yeh kahani hai Chhatrasal ke sahas, tyag aur deshbhakti ki jo har Bharatvaasi ko garv se bhar degi.




