Ek ajooba court case jisme, Ram Bahadur Thapa naam ke helper pe laga tha ek chudail ke maut ka aarop. Ye court case le chalegi aapko 1980 ke Odisha mein jahan har gaon par tha chudailo ka saya, aur tantrik kar rahe the in chudailo ka ilaj. Aise hi ek gaon mein Thapa payal ki awaz se ghabra kar kar deta hai ek aurat ko ghayal aur doosre ka murder. Kya Thapa bhooth ko haazir kar payega katghare mein? Kya Thapa sach mein hatya ka doshi hai ya iss kahani mein hai aur bhi bada twist?


