Unlock 7 Day Free Trial of exclusive premium membership for just $2!
Start Free TrialThe Acid Man — Episode 31 in Hindi. Mumbai ke ek flyover ke bhumipujan ke dauraan, mukhyamantri ki upasthiti mein zameen ke neeche se ujagar hui laash ne poore sheher mein bhuchaal la diya. Police department, media aur har nagrik hil gaya. CID officer Makarand Raj aur Vijay ko yeh case solve karne ka zimma diya gaya, par saboot ke taur par sirf ek parking ticket ke alawa unhe kuch haath na lag saka. Lekin doctor Maitreyi aur uski forensic team ke investigation ke baad kuch aise raaz saamne aaye ki laash ki pehchaan ho gayi. Jiski laash mili thi, use Mumbai ki public 'Acid Man' ke naam se jaanti thi. Ab sawal yeh hai ki kya Makarand aur Vijay iss 'Acid Man' ke qatil tak pahunch paayenge?