1962: Himalaya Ke Veer aapko le jaata hai us jung ke beech jisne Bharat ka itihaas badal diya. Delhi ke power corridors se lekar Namka Chu, Tawang, Walong, Chushul aur Rezang La ke barfili morchon tak, dekhiye woh faisle, warnings, qurbaniyan aur himmat jinhone 1962 ki jung ko janam diya. Jawanon ki jung, netaon ki uljhan aur aam logon ka dard yeh kahani hai un sabki, jinhone itihaas ki sabse mushkil ghadi mein sab kuch daav par laga diya



