The Discovery of India - Bharat ke pratham pradhanmantri aur freedom fighter, Jawaharlal Nehru ne likhi thi. 1942-1945 mein Ahmednagar fort ki jail mein apni saza ke dauraan unhone kalam uthaayi. Aur swaroop mein aayi yeh kitaab jo bharat ke golden period aur gaurvshaali etihaas se aapko rubaroo karvaati hai. Yeh samjhati hai ki bharat kaise vedo aur upnishad ki bhoomi se hoker angrezo ke kabze mein aa gaya aur humari asli pehchaan kya hai. Hamari parampara, sabhyata aur bhartiya akhandata ki awaaz hai yeh kitaab. Chaliye nikal padte hai iski khoj mein!Read More