Swagat hai aapka is khaas teerth yatra mein jahaan hum aapko lekar chalenge Hindu dharm ke chaar dhaam mein se ek vishesh dhaam mein - Odisha ke Puri mein stith Sree Jagannath Mandir. Mehsoos kijiye Prabhu Jagannathe ke mandir ke alokik vatavaran ko aur jaaniye usse judi kuch dilchasp kisse. Saath hi mein anand lijiye Ratha Yatra ki aur darshan paaye Prabhu Jagannath, unke bhai Prabhu Balabhadra, aur unki behan Mata Subhadra ki, aapke mann ki gehraai mein.






