Dharm insaan ki sabse zyada madad tab karta hai jab practical duniya mein aapko aapke sawalon ke jawaab ya toh mil nhi paata hai aur agar milte bhi hain toh aap us jawaab se santusht nahi hote hain. Aise waqt mein dharmik gyaan na sirf humein sahi disha deta hai balki hamare akelepan mein hamara sahara bhi banta hai. Insaan chahe kitni bhi tarakki kyu na karle Ishwar ke liye uska lagav use lagataar aage badhte rehne mein madad karta hai. To doston aaiye Geeta gyaan ke saath apne vichar, karm aur apni zindagi ko sahi disha mein le jayein.









