Reyansh - ek aisa ladka jiski girlfriend Soniya use sirf isilie chhod deti hai, kyunki wo gareeb aur fatichar hai. Lekin phir usi raat ko, wo apne baare me ek aisi sacchai jaanta hai, jise jaan lene ke bad uski poori life hi badal jaati hai. Wo raat koi aam raat nahi thi, balki chandra grahan ki raat thi, jab Reyansh ne pehli bar apna roop badla tha aur use pata chala tha ki wo ek werewolf hai. Tab use majburi me werewolf academy me jana pada, lekin ittefaq se wahan uska saamna Niya se hota hai, jiski shakl bilkul Soniya jaisi hai. Shuruaat mein Reyansh, Niya se nafrat karta hai, lekin fir dheere dheere wo usse pyaar karne lagta hai. Lekin jab Niya ki sacchai uske aati hai saamne, to uski duniya hi badal jati ha. Aakhir kaun hai Niya? Kya wo aur Soniya ek hi hain ya dono alag hain?




