Made with┬а┬аin India

Buy PremiumDownload Kuku FM
CareerFitnessInformationPersonal FinanceSelf Help
Stress ko kaise kare Khatam |
Stress ko kaise kare Khatam
4.3
(2 Lakhs+ listens)
55 min
DAY 1 - Maansik tanaav ko kaise kam kare - Tanaav prabandhan ki series ke is pehle ank mein jaanenge ki tanaav kya hai aur kaise aap viprit paristhitiyon mein bhi tanaav pe niyantran paa sakte hai. DAY 2 - Tann aur mann ka santulan kyun hai zaroori - Manushya kisi bhi paristhiti se bahar aa sakta hai agar uske tann aur mann ke beech santulan hai. Suniye ye ansh aur jaaniye ki kyun zaroori hai tann aur mann ka samanjasya. DAY 3 -Tanaav aur bhavnao ka sambandh Tanaav ka hamare shareer ke saath saath hamari bhavnao par bhi asar padta hai. Tanaav aur hamari bhavnao ka sambandh bohot gehra hai. Suniye is ansh ko asur jaaniye kya aur kaisa hai bhavnao aur tanaav ka sambandh. DAY 4 - Khud se nahi kare negative baate - Hamare andar har tarah ke vichar umadte hai. Sahi, galat, acche, bure..har tarah ke, lekin tanaav ke karan hum aksar negative vicharon par dhyan dete hai. Jaaniye kyun nahi karni chahiye khudse negative baate aur ise kaise roke. DAY 5 - Paristhitiyon ka purv aanklan - Hum har paristhiti ka pehle se aanklan kar lete hai aur jab hamari soch anusar der se result aata hai, tab hum tanaav ke shikaar ho jaate hai. Kisi bhi paristhiti ka purv aanklan hume tanaav se bhar deta hai, suniye ye episode aur adhik jaankari ke liye DAY 6 - Samarpan ki kala - Har paristhiti mein bhaavo aur vichaaro se ladhna aavshyak nahi, isse uljhan badh bhi sakti hai.Kabhi kabhi zarurat hoti hai samarpan ki, tann aur mann ki shaanti ke liye. Suniye ye episode aur jaaniye samarpan ka mahatva. DAY 7 - Tanaav mein rakhe sehat ka khaas khayal Aksar tanaav mein hum sehat ko nazarandaaz kar dete hai. Hamari bhook se lekar nind tak sab tanaav se prabhavit hoti hai. Suniye ye episode aur jaaniye kyun hai tanav mein apni sehat ka khayal rakhna zaroori.
share-icon

00:00
00:00